bakhshe phir us nigah ne arman nae nae mahsus ho rahe hain dil o jaan nae nae yun qaid-e-zindagi ne rakha muztarib hamein jaise hue hon dakhil-e-zindan nae nae kis kis se is amanat-e-din ko bachaiye milte hain roz dushman-e-iman nae nae rahat ki justuju mein khushi ki talash mein gham palti hai umr-e-gurezan nae nae masjid mein aur zikr buton ka janab-e-shaikh shayad hue hain aap musalman nae nae dam bhar dam-e-ajal ko na hasil hua faragh hote rahe charagh farozan nae nae khana-kharab hum se jahan mein kahan 'adib' aabaad kar rahe hain bayaban nae nae