kis ki khalwat se nikhar kar subh-dam aati hai dhup kaun wo khush-bakht hai jis ki mulaqati hai dhup didani hota hai do rangon ka is dam imtizaj bundiyon ke ham-jilau ham-raqs jab aati hai dhup tum to pyare chadhte suraj ke parastaron mein the kyun ho shikwa-sanj agar tan ko jala jati hai dhup khushbu-e-mahbus ko aazad karne ke liye lakh ho sangin hisar-e-kohar dar aati hai dhup is gali mein jaise us ka dakhila mamnua ho yun dabe panw yahan aa kar guzar jati hai dhup raat-bhar pahlu mein rahta hai munawwar aaftab din se badh kar apni garmi shab ko dikhlati hai dhup dil khushi se jhumta hai jab sar-e-diwar-e-yar nim-wa dar se guzar kar sard ban jati hai dhup raat pahlu mein achanak us ka chehra dekh kar dil mein ye aaya tasawwur kitni lamhati hai dhup barq ke dam se thi kal jis khwab-gah mein mauj-e-nur ab wahan bhi tarz-e-nau se jalwa dikhlati hai dhup ai 'suhail' is mein nihan hai us ki mahbubi ka raaz tab-e-mausam dekh kar fauran badal jati hai dhup