bal paDe chitwan pe abru tan ke KHanjar ho gae

bal pade chitwan pe abru tan ke khanjar ho gae
zikr-e-wasl aate hi wo jame se bahar ho gae

ban gae wo harf-e-matlab sun ke taswir-e-haya
surkh fart-e-sharm se rukhsar-e-anwar ho gae

jitne qatre aansuon ke yaad-e-dandan mein gire
gauhar-e-khush-ab aankhon se nikal kar ho gae

ro diye fariyaad par meri butan-e-sang-dil
mere nalon se pighal kar mom patthar ho gae

ek bahana chahiye un ko bigadne ke liye
main ne zulfon ki balaen lin mere sar ho gae

ho gaya badmast main un se milate hi nazar
dida-e-makhmur mere haq mein saghar ho gae

aabla-pai hamari rang lai dasht mein
khar-e-sahra tishna-e-khun ho ke nashtar ho gae

wo but-e-aina-sima zinat-e-pahlu hai 'naz'
aaj to hum bhi nasibe ke sikandar ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close