dekha karo na tum nigah-e-sehr-fan ke sath

dekha karo na tum nigah-e-sehr-fan ke sath
achchhi nahin ye chhed dil-e-pur-mehan ke sath

thi dushmani jo khak ko mujh khasta-tan ke sath
dil ka ghubar us ne nikala kafan ke sath

baitha hua hun bazm mein ek sim-tan ke sath
saqi laga de saghar-e-zarrin dahan ke sath

muddat ke ba'd aai hai sham-e-shab-e-visal
kya din phire hain gardish-e-charkh-e-kuhan ke sath

duniya se na-murad chala hai shahid-e-'ishq
lipte hue hain hasrat-o-arman kafan ke sath

thahrega kya ye tir hawai ke samne
aah-e-rasa ko lag hai charkh-e-kuhan ke sath

kah do sawal-e-wasl pe tum phir nahin nahin
bal dal kar jabin pe usi bankpan ke sath

ab tak hai bu-e-gul se mo'attar mera dimagh
soya tha ek raat kisi gul-badan ke sath

rahta hai mujh ko taza balaon ka samna
rahta hun jab se zulf-e-shikan-dar-shikan ke sath

hain sath sath hasrat-o-arman ke qafile
su-e-adam chala hun main ek anjuman ke sath

kat jaegi ye umr-e-do-roza jahan mein
lutf-o-khushi ke sath ki ranj-o-mehan ke sath

wo ban ke ashk-e-khun meri aankhon se bah gaya
phuta jo koi aabla dil ki jalan ke sath

ye 'naz' aarzu hai ki ho hind ko 'uruj
dekhen hum is ko phir usi ahd-e-kuhan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close