dasht mein pahle wo samundar chamkata hai tab phir sine mein khanjar chamkata hai bhid se wo karta hai mujhe kuchh aise juda bar neze par mera sar chamkata hai bhed kholta hai wo yun apne hone ka har aane wale ka ghar chamkata hai dekhun wo kab karta hai zang-e-ana kafur dekhun wo kab mera andar chamkata hai warna kya mitti kya mitti ki kaya kuchh to hai jo wo zamin par chamkata hai tare suraj phul samundar chidiya mein wo kaise kaise manzar chamkata hai wo kab rahne deta hai mujh ko akela 'tur' aankh ek nilam si shab bhar chamkata hai