dil hai bahr-e-be-karan dil ki umang chaar mauj chaar su hai chaar rang mauj-e-awwal hai juz-o-kul mein muhit sar-ba-sar kibr-o-mina ka rang-dhang hai tasawwur doyami mauj-e-khayal farsh se ta-arsh jis ki hai tarang soyami hai aql mahdud-o-salim mante hain jis ka loha sab dabang dil ki hai mauj-e-chahaarum wahima dam-ba-dam jis ki anokhi hai umang chaar dang-e-alam-e-ijad mein chaar maujen hain baham aur khana-jang jaan ki tahrik se hai sab numud khwah dil hai khwah hai dil ki umang hain isi tahrik mein aakhir fana shama ki lau mein fana jaise patang aql ki saiqal se ho jata hai pak dil ke aaine ko jab lagta hai zang ilm mein hai hasti-e-dil be-sabaat jaise 'sahir' aab-e-dariya mein tarang