bala se ho sham ki siyahi kahin to manzil meri milegi udhar andhere mein chal padunga jidhar mujhe raushni milegi hujum-e-mahshar mein kaisa milna nazar-farebi badi milegi kisi se surat teri milegi kisi se surat meri milegi tumhaari furqat mein tang aa kar ye marne walon ka faisla hai qaza se jo ham-kanar hoga use nai zindagi milegi qafas se jab chhut ke jaenge hum to sab milenge ba-juz-nasheman chaman ka ek ek gul milega chaman ki ek ek kali milegi tumhaari furqat mein kya milega tumhaare milne se kiya milega 'qamar' ke honge hazar-ha gham raqib ko ek khushi milegi