wade ka etibar to hai waqai mujhe

wade ka e'tibar to hai waqai mujhe
ye aur baat hai ki hansi aa gai mujhe

lai hai kis maqam pe waraftagi mujhe
mahsus ho rahi hai ab apni kami mujhe

samjhe hain wo junun to junun hi sahi mujhe
danista ab badalni padi zindagi mujhe

jalwon ki raushni mein jo khoya tha pa gaya
tum se nazar mili to mohabbat mili mujhe

mahaul sazgar-e-mizaj-e-wafa na tha
duniya se bach ke un ki nazar dekhti mujhe

yun rabt-o-zabt-e-shauq badhaya ba-tarz-e-nau
jaise ki pahle un se mohabbat na thi mujhe

'nakhshab' mitaya jis ne wafaon ki aad mein
us bewafa se phir bhi mohabbat rahi mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close