balwaiyon ka jis pe yahan kuchh asar na tha wo ghar amir-e-shahr ka tha mera ghar na tha tahzib-o-ilm-o-fan ki taraqqi ki rah mein mere alawa aur koi rahbar na tha main bhi kahin kahin raha ranaiyon se dur tu bhi kahin kahin pe sharik-e-safar na tha taza khabar mein hum ne padha hai ye dosto barish thi pattharon ki magar zakhm-e-sar na tha samjha tha rahnumai karega meri magar suraj bhi tirgi mein sharik-e-safar na tha 'nusrat' na jaane kyun use aaya na kuchh khayal haalanki mere haal se wo be-khabar na tha