ye sochiye ki kyon hawa pe zor chal nahin raha kisi bhi rukh se aap ka charagh jal nahin raha ghalat hai ye ki waqt ki jabin pe bal nahin raha magar ye pahli bar hai ki bal nikal nahin raha main aazmaishon mein us maqam tak to aa gai ki aag mein khadi hun aur jism jal nahin raha safar mein ek hujum tha magar ye raaz ab khula ki koi bhi yahan kisi ke sath chal nahin raha hararaten to aa gain tamazaton talak magar hai darmiyan jo barf ki pahad gal nahin raha