ban ban kar aaj wasl ki surat bigad gai wo kya bigad gae meri qismat bigad gai kahte hain aaj dukhtar-e-saqi ko dekh kar zahid se parsa ki bhi niyyat bigad gai achchhe bane khuda ki qasam wo shab-e-visal ye kah ke so gae ki tabiat bigad gai bose ke badle dil unhen deta to khub tha afsos len-den ki surat bigad gai 'sabir' ke samne hue aise zalil ghair izzat to kya hai un ki haqiqat bigad gai