pad gai jaise aql par mitti khak manzil hai rahguzar mitti mod sakte hain gili hone tak tut jati hai sukh kar mitti be-zamiri jafa-kashi nafrat nam badle hue hai har mitti phir bhi zalim ki pyas baqi hai ho chuki hai lahu mein tar mitti aao taza musalahat kar len pichhli baaton pe dal kar mitti jitne farman the buzurgon ke ho gae aaj be-asar mitti kapde si si ke ghar chalati hai hai wo kambakht kitni nar mitti ungliyon ke hunar se ai 'akmal' shakl pati hai chaak par mitti