ban gai hai maut kitni khush-ada mere liye sar jhuka kar phul karte hain dua mere liye tum na murjhao to kaliyo kal bata dena use kuchh samajh kar khoi khoi hai saba mere liye main to bas un ke hi rang-o-nur ka akkas tha muztarib hai kyun sitaron ki ziya mere liye meri hi khatir tha ahd-e-tark-e-araish magar phir wo aae hain kanar-e-aina mere liye jagmaga uthti hai dil mein ek muqaddas raushni jab nahin hota kahin bhi aasra mere liye sochta hun phir utha lun barbat-e-kohna 'salam' muntazir hai sher-o-naghma ka khuda mere liye