dekho aaqa ki gali aur wo rauza dekho apni nazron ko sukun bakhsh do kaba dekho main dil-o-jaan se rauze pe jhuki jati hun dil pukare hi chala jata hai jalwa dekho mushkilon mein bhi wahi ishq tujhe tha mai ka gham salamat rahe khushiyon ka farishta dekho sare aalam mein koi raushni si phuti hai sari duniya mein koi nur ubharta dekho aankh viran pareshan raha karti hai ek jhalak tum bhi yahan aao madina dekho zakhm bhi phulon ki manind mahak utthenge ek nazar meri taraf jaan-e-masiha dekho mere aaqa ki aqidat se kitaben raushan aao aao mere mahbub ka qissa dekho tum ko har khwab ki tabir milegi 'rakhshan' pahle sochon mein basa kar wo aqida dekho