nahin zarur ki takmil-e-muddaa dekhen magar hai ji mein ki khun-e-jigar baha dekhen nuqush-e-pa jo hue ja rahe hain gard unhen thakawaton se sharabor log kya dekhen ye kya safar hai ki sidhe-sapat raste hain kabhi to hum koi pur-pech rasta dekhen fasil-e-shab se udhar de raha ho koi sada hisar-e-khwab mein lekin mujhe ghira dekhen faza mein tair rahe hon hare-bhare chehre khud apne chehre ko lekin bujha hua dekhen safar mein shal hue jate hun dhup ke panw ufuq ki aankh se bahti hui hina dekhen tulu-e-mahr se pahle bas ek pal ke liye kisi diye ki tarah hum bhi jhilmila dekhen ye din bhi 'khalid'-e-shiraaz dekhne the hamein nazar uthaen to patjhad ka silsila dekhen