chot kha kar jo muskuraate hain har bala se najat pate hain tere bande khuda nahin bante dusron ko khuda banate hain maut se jo wafa nahin karte zindagi se shikast khate hain wo harif-e-nazar kabhi na hue aaine hain ki tute jate hain hum kisi ka gila nahin karte waqt ki aabru badhate hain hadson se farar kya mani hadse zindagi banate hain hum ki apni taraf na dekh sake log un se nazar milate hain waqt ki raushni pe naz na kar waqt ke rukh badal bhi jate hain zikr-e-ilm-o-adab na chhed 'anjum' hazrat-e-'fauq' yaad aate hain