dard-e-dil soz-e-jigar yaad aaya jab tera tir-e-nazar yaad aaya khana-barbaad wahan ab kya hai kaun si baat pe ghar yaad aaya jite ji aap ne puchha mujh ko li kabhi khair-khabar yaad aaya yaad aaya hamein ek naqsh-e-qadam hasil-e-rah-e-guzar yaad aaya nakhl-e-ulfat ki jo yaad aai hamein jo mila tha wo samar yaad aaya mujh se ho jaegi ulfat ek din bar bar us ko agar yaad aaya main qafas mein bhi chununga tinke aashiyan mujh ko agar yaad aaya jab gaya sar se khudi ka sauda hum ko allah ka ghar yaad aaya hath uthate hi mila dil ko sukun kya duaon ka asar yaad aaya be-khud-e-shauq rahe hum jab tak khair yaad aai na shar yaad aaya apni be-rah-rawi par 'khushtar' shewa-e-ahl-e-hunar yaad aaya