bazm mein unki jaana bhi

bazm mein un ki jaana bhi
hosh mein wapas aana bhi

ek nigah-e-naz mein hai
jina bhi mar jaana bhi

rudad-e-mansur suni
sun mera afsana bhi

ishq hai ban bhi tarik-e-din
aql se ho begana bhi

dil se samajhna bhi hai kuchh
kuchh hai use samjhana bhi

uf saqi ki mast nigah
jhum gaya mai-khana bhi

baada-e-ishq se hain rangin
mina bhi paimana bhi

puchh na hai kitna pur-kaif
dhoke mein dil ke aana bhi

yar ke nikle diwane
nadan bhi sab dana bhi

rah-e-ishq hai wo jis ka
kho dena hai pana bhi

rasm-e-wafa ka uthna tha
'nami' ka mar jaana bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close