ban ke duniya ka tamasha mo'atabar ho jaenge sab ko hansta dekh kar hum chashm-e-tar ho jaenge mujh ko qadron ke badalne se ye hoga faeda mere jitne aib hain sare hunar ho jaenge aaj apne jism ko tu jis qadar chahe chhupa rafta rafta tere kapde mukhtasar ho jaenge rafta rafta un se ud jaegi yakjai ki bu aaj jo ghar mein wo sab diwar-o-dar ho jaenge aate jate rahrawon ko dekhta hun is tarah rah chalte log jaise ham-safar ho jaenge aadmi khud apne andar karbala ban jaega sare jazbe khair ke nezon pe sar ho jaenge garmi-e-raftar se wo aag hai zer-e-qadam mere naqsh-e-pa charagh-e-rahguzar ho jaenge kaise qisse the ki chhid jaen to ud jati thi nind kya khabar thi wo bhi harf-e-mukhtasar ho jaenge kya kahen aise taqaze hain mohabbat ke to hum apni betabi se hum raqs-e-sharar ho jaenge ek saat aisi aaegi ki ye wasl o firaq mere rang-e-be-dili se yak-digar ho jaenge kakh-o-ku-e-ahl-e-daulat ki bina hai ret par ek dhamake se ye sab zer-o-zabar ho jaenge ye ajab shab hai unhen sone na do warna 'salim' khwab bachchon ke liye wahshat-asar ho jaenge