nind aati hi nahin dhadke ki bas aawaz se tang aaya hun main is pur-soz dil ke saz se dil pisa jata hai un ki chaal ke andaz se hath mein daman liye aate hain wo kis naz se saikadon murde jalae ho masiha naz se maut sharminda hui kya kya tere eajaz se baghban kunj-e-qafas mein muddaton se hun asir ab khule par bhi to main waqif nahin parwaz se qabr mein rahat se soe the na tha mahshar ka khauf baz aae ai masiha hum tere eajaz se wae ghaflat bhi nahin hoti ki dam bhar chain ho chaunk padta hun shikast-e-hosh ki aawaz se naz mashuqana se khali nahin hai koi baat mere lashe ko uthae hain wo kis andaz se qabr mein soe hain mahshar ka nahin khatka 'rasa' chaunkne wale hain kab hum sur ki aawaz se