ban mein viran thi nazar shahr mein dil rota hai zindagi se ye mera dusra samjhauta hai lahlahate hue khwabon se meri aankhon tak ratjage kasht na kar le to wo kab sota hai jis ko is fasl mein hona hai barabar ka sharik mere ehsas mein tanhaiyan kyun bota hai nam likh likh ke tera phul banane wala aaj phir shabnamin aankhon se waraq dhota hai tere bakhshe hue ek gham ka karishma hai ki ab jo bhi gham ho mere meyar se kam hota hai so gae shahr-e-mohabbat ke sabhi dagh o charagh ek saya pas-e-diwar abhi rota hai ye bhi ek rang hai shayad meri mahrumi ka koi hans de to mohabbat ka guman hota hai