bana bana ke aks khadd-o-khal rakh diye gae ki aaine hata diye khayal rakh diye gae jo baat qatl ki gai wahi to ek baat thi sukhan-sara-e-waqt mein malal rakh diye gae koi na khud ko pa sake ye aur baat hai magar kami kaji ke rang mein kamal rakh diye gae kabhi jo ek shahr tha qafas bana diya gaya jahan bhi rakkhe ja sake the jal rakh diye gae darakht kat kat kar kushadgi to ki gai saron pe jalti dhup ke wabaal rakh diye gae kabhi jo haq diya gaya to is tarah diya gaya ki faisle ke darmiyan sal rakh diye gae dilon ko chhu gai thi jo wo tazgi nahin rahi bhale se ab sukhan mein sau kamal rakh diye gae mohabbaton mein chahiye thi pukhtagi so is liye firaq rakh diye gae visal rakh diye gae wo shahr be-misal tha wo shahr la-zawal tha phir us ki int int mein zawal rakh diye gae