jis taraf bhi dekhiye saya nahin phir bhi gulshan hai koi sahra nahin log baithe hain usi ki chhanw mein sae se jis ped ka rishta nahin kaam agar aae nigah-e-haq-shanas phir kisi pahlu koi dhoka nahin haq-pasand mera dastur-e-amal yani bik jaana mera shewa nahin dosto rakkho haqiqat par nazar khwab aankhon mein kabhi palta nahin us ki duniya mein nahin qimat koi jo kasauti par khara utra nahin wusaten dil ki hain dariya ki tarah kaun kahta hai ki dil dariya nahin dard-o-gham wo kis ke samjhe ai 'guhar' apne ghar se jo kabhi nikla nahin