dub kar is ka bhanwar kholenge bahr-e-hasti ke guhar kholenge pa-ba-jaulan nahin hoti himmat aabju apni dagar kholenge lakh diwaren uthin zindan mein hum daricha to magar kholenge raushni chaar taraf phailegi aaj wo aankh jidhar kholenge sab sitare khade hain saf bandhe aaj lagta hai wo dar kholenge un farishton ko milenge ashaar jab wo saman-e-safar kholenge aaj wo tir liye baithe hain hum bhi hargiz na sipar kholenge sher 'talib' ke sunenge jab bhi uqda-e-arz-e-hunar kholenge