zist ki har rahguzar par hashr barpa chahiye dil mein hangama nigahon mein tamasha chahiye aansuon mein bhi tera jalwa huwaida chahiye gham ke tufanon mein sirf itna sahaara chahiye sham-e-gham di hai to ek taban tasawwur de mujhe main andhera kya karun mujh ko ujala chahiye meri hasti se barasne lag gai hain bijliyan ab tere jalwon ke parde par bhi parda chahiye be-niyazi aaj se karte hain hum bhi ikhtiyar un ke harbe ko unhin par aazmana chahiye sath sath is ko liye phirti hai kyun teri talash dasht ki tanhai mein diwana tanha chahiye dil par is tartib se ho barish-e-lutf-o-karam sarkhushi ka naqsh gahra gham ka halqa chahiye jazb ho kar rah gai hain aashiyan mein bijliyan ab falak ko us ke hi shoalon se phunka chahiye mast ho sakta hai tu 'makhmur' lekin is tarah aankh mein saghar lab-e-rangin mein sahba chahiye