khulegi nind khwabon ka gharaunda tut jaega haqiqat ru-ba-ru hogi to sapna tut jaega tumhein to chand banna hai meri tarik raaton ka sitara tum nahin banna sitara tut jaega mujhe apnon ya ghairon se koi shikwa nahin lekin fareb itne milenge to bharosa tut jaega mera masum dil to fitratan shishe ke jaisa hai musalsal war hone par to loha tut jaega abhi kuchh waqt baqi hai shajar pe zard patte ka hawaen tez hone se ye patta tut jaega tumhein har haal mein 'mashkur' us ko bhul jaana hai irada tum nahin karna irada tut jaega