banae hazrat-e-insan ne is din ke kai madfan mili munkar ko aazadi lage maruf par qadghan hue hain mimbar-o-mehrab hi tafriq ke markaz zabanon ne pahan rakkhi hai khasta-haal si utran mulukiyyat ibarat khun se aahon se ashkon se hukumat ke andheron ko khilafat hi kare raushan tujhe tha fakhr ki shoalon pe teri hukmrani hai magar ye dekh chingari jalati hai tera khirman in arbab-e-hukumat ka koi rishta hai qatil se watan se jab wo nikle kucha-e-qatil bana maskan khushi thi un ko ye uftad un par to nahin guzri hati chilman to pai hai wahi aandhi lab-e-rauzan yahi hai minhaj-e-nabawi yahi kar-e-nubuwwat hai ki insan ki ghulami se rahe aazad har gardan umiden justuju khwab-o-tamanna ki haqiqat kya agar tu be-amal be-hausla phir ye bhi sar-afgan ai 'tabish' tu nifaz-e-hukm-e-rabbani agar chahe to ho aaghaz hukama se tariqa hai yahi ahsan