hirs-o-hawa ke hain sab bande kuchh bhi khuda se kaam nahin tuf hai aise jine par hai jis ka nek anjam nahin main ne hi pahle dekha tha main hi gira tha ghash kha kar main hi mulzim main hi mujrim aap pe kuchh ilzam nahin haalat-e-naza mat puchho tum sakta ka sa aalam hai ab koi dam ka hai mehman subh hui to sham nahin haalat kya hai 'jarih'-e-khasta kuchh munh se to batlao sun ke gham mein ho sar-gashta yaad bhi us ka nam nahin