banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu

banae rakhta hai aankhon mein raushni aansu
so mera khwab bhi aansu hai nind bhi aansu

ugenge nind ke paude pe kuchh nae nae khwab
karega aankh mein jab kimiya-gari aansu

bana hua hai sitara hamari aankhon ka
tapakta hi nahin aankhon se aakhiri aansu

kabhi jo rone ka ji ho to khul ke ro lena
bana ke rakhta hai logon ko aadmi aansu

mera khayal tasawwur yahi mujhe mazmun
meri zaban bhi aansu hai shairi aansu

nazar jhuka ke wo kahti thi mujh ko patthar dil
milati aankh to aankhon mein dekhti aansu

hamare rone ko tum ranj kyon samajhte ho
hamara rona khushi hai shaguftagi aansu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close