dukh sahte hain chup rahte hain rone walon se achchhe hain ji halka karna hi nahin hai warna to aansu itne hain kar lete hain aankhen patthar mere jaise jab rote hain jin ki umid na ho aane ki un ka bhi rasta takte hain badan hun ya main shakh shajar ki mujh se kitne gul lipte hain rah mein ek bhi jism nahin hai jaane ye kis ke sae hain aisi dhup ka hasil kya hai manzar to kale kale hain