chalte chalte sal kitne ho gae ped bhi raste ke budhe ho gae ungliyan mazbut hathon se chhutin bhid mein bachche akele ho gae hadisa kal aaine par kya hua reza reza aks mere ho gae dhundhiye to dhup mein milte nahin mujrmon ki tarah sae ho gae meri khamoshi pe the jo tana-zan shor mein apne hi bahre ho gae chand ko main chhu nahin paya magar khwab sab mere sunahre ho gae meri gum-nami se 'azhar' jab mile shohraton ke hath maile ho gae