dil tujhe pa ke bhi tanha hota dur tak hijr ka saya hota aur to apne liye kya hota apna dukh hi koi apna hota aap aate ki na aate dil mein jalta-bujhta koi shoala hota aarzu phir nai karte tabir phir naya koi tamasha hota phir wahi ek khalish si hoti phir kisi ne hamein dekha hota zakhm phir koi mahakta dil mein samne phir koi chehra hota phir gale wahshaten miltin hum se phir wahi hum wahi sahra hota the khafa tum to hamara dam-saz aafat-e-jaan koi tum sa hota tujh ko nafrat hai to apna dil bhi rafta rafta tujhe bhula hota thak ke soya hai jo ab raat gae sham hote use dekha hota