banaya ek kafir ke tain us dam main do kafir mere munh se jo nikla na-gahan o kafir o kafir musalman dekh kar us but ki surat ko ye kahta hai musalmani kahan ki? bandh le zunnar, ho kafir tujhe parwa nahin hargiz kisi ki tu hai be-parwa tere is husn-e-kafir par pari ho jae go kafir shab-e-hijran mein jo dil dam-ba-dam fariyaad karta hai khafa ho kar kahun main koi saat tu to so kafir kahan tak ai dil-e-shorida tu aansu bahawega shab aai subh hone par bas itna bhi na ro kafir hum apna din-o-iman pahle us ko nazr karte hain hamare samne is shakl se aata hai jo kafir teri baaton se to ai 'mushafi' ji apna tang aaya khuda ke waste chup rah na meri jaan kho kafir