ya-rab shab-e-visal ye kaisa gajar baja agle pahar ke sath hi pichhla pahar baja aawaz-e-sur sun ke kaha dil ne qabr mein kis ki baraat aai ye baja kidhar baja kahte hain aasman jo tumhaare makan ko hum kahta hai aaftab durust aur qamar baja jago nahin ye khwab ka mauqa musafiro naqqara tak bhi coach ka waqt-e-sahar baja tamir maqbare ki hai lazim bajae-qasr zar-daron se kaho ki karen sarf-e-zar baja hain hum to shadman ki hai khat mein payam-e-wasl baghlen khushi se tu bhi to ai nama-bar baja tujh ko nahin jo un se mohabbat kahan mujhe tali na ek hath se ai be-khabar baja nafrat hai ye khushi se ki ashk apne gir pade ham-rah taziya ke bhi baja agar baja ja-e-qayam manzil-e-hasti na thi 'amir' utre the hum sira mein ki kos-e-safar baja