main shad hun to zamane mein shadmani hai sharab lao ki aalam tamam fani hai tamam aalam-e-hasti pe hukmarani hai mera jahan hai jab tak meri jawani hai ragon mein ruh hai aur khun mein rawani hai nigah baada-kash o chehra arghawani hai taghayyuraat ke aalam mein zindagani hai shabab fani nazar fani husn fani hai kahin kahin ye mohabbat bhi ghair-fani hai jahan khayal haqiqat ki tarjumani hai tere khayal se hai masti-e-nazar meri teri nigah se main ne sharab chhani hai tera jamal fasanon mein rang bharta hai tere shabab se dilkash meri kahani hai meri hayat mein jab tu nahin to kuchh bhi nahin tere baghair bhi kya khak zindagani hai dil-e-fasurda mein hoti hai zindagi paida 'nushur' jura-e-sahba bhi zindagani hai