chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna

chand-taron ka tere ru-ba-ru sajda karna
khwab dekha hai to kya khwab ka charcha karna

husn-e-barham se mera arz-e-tamanna karna
jaise tufan mein sahil se kinara karna

ras aaega na ye koshish-e-beja karna
bad-gumani ko badha kar mujhe tanha karna

meri jaanib se hai khamosh dariche ka sawal
kab se sikha teri aawaz ne parwa karna

har-qadam par meri kanton ne pazirai ki
jurm puchho to bahaaron ki tamanna karna

dawat-e-shokhi-e-taqdir use kahte hain
kar-e-imroz na karna gham-e-farda karna

un ki mohtat-nigahi ne bharam khol diya
jin ko manzur na tha raaz ka ifsha karna

waqt ke hathon mein tiryak bhi hai zahr bhi hai
us ko yak-rang samajh kar na bharosa karna

tarjuman-e-gham-e-dil un ki nazar hoti hai
jin ko aata nahin izhaar-e-tamanna karna

khud-numai nahin insan ki khuddari hai
parcham-e-azmat-e-kirdar ko uncha karna

zulmat-e-jumbish-e-lab ki nahin ummid magar
nigah-e-naz na bhulegi ishaara karna

go main yusuf nahin daman to mere pas bhi hai
tum zara pairwi-e-dast-e-zulekha karna

ai ki tu nazish-e-sannai-e-dast-e-fitrat
kash aata na tujhe khun-e-tamanna karna

jada-e-ishq mein ek aisa maqam aata hai
shart-e-awwal hai jahan tark-e-tamanna karna

aap ke ahd-e-wafa par mera iman jaise
kisi girti hui diwar pe takiya karna

koshish-e-zabt mein har sans qayamat hai 'uruj'
khel samjhe ho gham-e-dil ko gawara karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close