band kamre mein hun aur koi daricha bhi nahin kisi dastak ka larazta hua jhonka bhi nahin tirgi odh ke aai hai ghata ki chadar aur fanus koi aah ka jalta bhi nahin kal mere sae mein sustai thi sadiyon ki thakan aaj wo ped hun jis par koi patta bhi nahin dhup ke dasht ka darpesh safar hai mujh ko sath dene ko magar koi parinda bhi nahin apna khun rah mein phailain lakiron ki tarah aane wale na kahin naqsh-e-kaf-e-pa bhi nahin