yaad rakkhega mera kaun fasana mere dost main na majnun hun na majnun ka zamana mere dost hijr insan ke khad-o-khal badal deta hai kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost sham dhalne se faqat sham nahin dhalti hai umr dhal jati hai jaldi palat aana mere dost roz kuchh log mere shahr mein mar jate hain ain mumkin hai thahar kar chale jaana mere dost tum agar ab bhi khandar dekh ke khush hote ho to kisi din meri jaanib nikal aana mere dost jaise mitti ko hawa sath liye phirti hai main kahan aur kahan mera thikana mere dost