band kar baithe ho ghar radd-e-bala ki khatir ek khidki to khuli rakhte hawa ki khatir bhent chadhte rahe har daur mein insan kitne fard-e-wahid ki faqat jhuti ana ki khatir har zabardast ka har zulm saha hai main ne zindagi mahz teri hirs-e-baqa ki khatir dar jahannam ka na jannat ki hawas hai mujh ko sar jhukaya hai faqat teri raza ki khatir main siyah-bakht jise mar ke apnon ne 'jalil' ghair ko dosh diya khun-baha ki khatir