banda ab na-subur hota hai afw howe qusur hota hai wo zamin par qadam nahin rakhte husn ka kya ghurur hota hai daulat husn ke lutane mein kharch kya ai huzur hota hai surma aankhon mein wo lagate hain dekhiye kya futur hota hai hum hain majbur aap hain mukhtar kahiye kis se qusur hota hai saya us aaftab-talat ka dida-e-mah ka nur hota hai khak hasil hai us se murdon ko zar jo sarf-e-qubur hota hai mai-kashon mein mudam ai zahid nara-e-ya-ghafur hota hai wasl ho taliye na bose par is se kya ai huzur hota hai fikr rakhte nahin hain diwane bais-e-gham shuur hota hai partaw-e-rukh se un ka jeb-e-qaba daman-e-koh-e-tur hota hai khub aashiq ka pas karte ho har ghadi dur dur hota hai ek hi nur ka zamane mein sau tarah se zuhur hota hai mujh ko nahaq halal karte hai khun ye be-qusur hota hai kashti-e-mai chali to ai saqi bahr-e-gham se ubur hota hai ai 'saba' jab bahaar aati hai hum ko sauda zarur hota hai