dur tak chhae the baadal aur kahin saya na tha is tarah barsat ka mausam kabhi aaya na tha surkh aahan par tapakti bund hai ab har khushi zindagi ne yun to pahle hum ko tarsaya na tha kya mila aakhir tujhe sayon ke pichhe bhag kar ai dil-e-nadan tujhe kya hum ne samjhaya na tha uf ye sannata ki aahat tak na ho jis mein mukhil zindagi mein is qadar hum ne sukun paya na tha khub roe chhup ke ghar ki chaar-diwari mein hum haal-e-dil kahne ke qabil koi ham-saya na tha ho gae qallash jab se aas ki daulat luti pas apne aur to koi bhi sarmaya na tha wo payambar ho ki aashiq qatl-gah-e-shauq mein taj kanton ka kise duniya ne pahnaya na tha ab khula jhonkon ke pichhe chal rahi thin aandhiyan ab jo manzar hai wo pahle to nazar aaya na tha sirf khushbu ki kami thi ghaur ke qabil 'qatil' warna gulshan mein koi bhi phul murjhaya na tha