zindagi saz-e-shikasta ki fughan hi to nahin zamzama-sanj bhi hai marsiyan-khwan hi to nahin ishq se baz hum aate jo guzarta wo garan lutf to ye hai tabiat pe garan hi to nahin dil bura kijiye kis tarah bhala phir us se rahat-e-jaan bhi to hai aafat-e-jaan hi to nahin aisi yaaden bhi hain sau zindagiyan jin pe nisar hasil-e-zist gham-e-umr-e-rawan hi to nahin hum samajhte hain jo apne ko bada ahl-e-nazar ye bhi faiz-e-nazar-e-khush-nazran hi to nahin qafile mein hain bahut rahrawan bhi to sharik rahbaran hi to nahin rah-zanan hi to nahin hai bahut naz tujhe zabt-e-fughan par 'fazli' ye khamoshi bhi kahin tarz-e-fughan hi to nahin