banda-parwar pahle dil par hath rakh kar dekhna phir kisi ke hath mein poshida patthar dekhna apne maslak mein nahin ya apni qismat mein nahin jaane wali har hasin rut ko palat kar dekhna be-taghayyur roz-o-shab mein bhi uchat jata hai dil ek mausam dekhna aur zindagi bhar dekhna aap bhi kab se musir hain tark-e-rasm-o-rah par hum bhi rakh lenge kabhi sine pe patthar dekhna kya bataen ahl-e-sahil ka muqaddar hai yahi bebasi se dubne walon ka manzar dekhna is ko kya kahiye ba-juz kotahi-e-zauq-e-amal apne hathon ki lakiron mein muqaddar dekhna sarsari si ek nazar 'afzal' na dalo sher par hai nazar ka kaam qatre mein samundar dekhna