be-sabab hi jaane kis kis ko khafa karte rahe kyon kisi ke ru-ba-ru hum aaina karte rahe log tadbiron se hangame bapa karte rahe aur hum jabr-e-mashiyyat ka gila karte rahe wae majburi ki honton par na aai dil ki baat lakh hum sai-e-bayan-e-muddaa karte rahe ghaaliban ye bhi hamara imtihan tha bazm mein log rah rah kar tumhaara tazkira karte rahe un ki khatir is takalluf ki kisi ko kya khabar kis liye apne lahu ko hum hina karte rahe har nafas ke sath jun jun umr kam hoti gai mukhtasar hum zindagi ka rasta karte rahe aur bhi dushwar ab khud ko samajhna ho gaya hosh ke aalam se 'afzal' hum bhi kya karte rahe