bandagi karte karte khuda ho gaya aadmi ko khuda jaane kya ho gaya wo sitamgar khuda-e-wafa ho gaya tujh ko ai ghairat-e-ishq kya ho gaya aa ki tarikh-e-dil phir murattab karen fikr-e-mazi na kar jo hua ho gaya zindagi hi mujhe chhod kar chup nahin khud bhi hairan hun main ye kya ho gaya hum bahaaron ki minnat hi karte rahe rang-e-gulshan hua tha hawa ho gaya chupke chupke mera zikr hota raha rafta rafta har ek aashna ho gaya tujh se to qurb hai tere dar par to hain hum khuda tak na pahunche to kya ho gaya zist thodi bahut kaam aane lagi kuchh na kuchh maut ka aasra ho gaya kis tajassus mein 'anjum' pareshan ho sath kab tha jo koi juda ho gaya