bhari mahfil mein ganwane ke liye kuchh bhi nahin ab mere pas zamane ke liye kuchh bhi nahin ek chehra hai jahan dard ki do aankhen hain dil nahin aur dikhane ke liye kuchh bhi nahin mera kirdar kahani mein bhi mar jaega raegan hai jo fasane ke liye kuchh bhi nahin raat khamoshi liye yun to chali aai hai aaj par mujh ko darane ke liye kuchh bhi nahin