bane ho khak se to khaksari ho tabiat mein tabiat aisi banti hai to banti hai mohabbat mein bahae jao aansu umr-bhar us ki mohabbat mein ki aise log moti ke mahal pate hain jannat mein kaha hazir mein kuchh hujjat nahin phir muddaa puchha sitamgar ne palat di baat ab hazir hai hujjat mein kisi se apne haq mein kuchh suna bhi hai to jaane do bura to baadshah ko bhi kaha karte hain ghibat mein mohabbat ki zara si baat par itne khafa kyun ho hua karti hain aakhir saikdon baaten mohabbat mein nahin la sakta har ek kohkan farhad ki qismat khuda bakhshe bada insan guzra chhoti ummat mein teri har ek taswir ek ada-e-khas rakhti hai kare kya farq ab koi zarurat aur zinat mein ye kya sail ke munh par tod kar tukda sa rakh dena are bande khuda ko munh dikhana hai qayamat mein jo badle dost ka bhes us ko dushman kis tarah jaanon gaya hazrat kalim-ullah ka naqqal jannat mein mohabbat be-itaat ek dhoka hai mohabbat ka mohabbat ka jo dawa hai to koshish kar itaat mein mohabbat aur mehnat kohkan ne ye bhi ki wo bhi ulat hai ek nuqte ki mohabbat aur mehnat mein safi' duniya mein jine ka maza kuchh bhi nahin paya hamari umr kuchh ghaflat mein guzri kuchh nadamat mein