fitna-e-gardish-e-ayyam se ji darta hai saya-e-zulf-e-siyah-e-fam se ji darta hai din ke sine mein dhadakte hue lamhon ki qasam shab ki raftar-e-subuk-gam se ji darta hai wahi tarik dariche wahi be-nur shafaq partaw-e-mehr-e-tahi-dam se ji darta hai wahi be-wajh udasi wahi be-nam khalish rasm-e-rah-e-dil-e-nakaam se ji darta hai wahi sunsan fazaen wahi viran sa nagar aa ke baitho to dar-o-baam se ji darta hai