chhod de ai dil mohabbat ka khayal achchha nahin kaam achchha hai magar is ka maal achchha nahin un se jo kahna hai ai dil kah samajh kar soch kar ye bhi kuchh kahne mein kahna hai ki haal achchha nahin ai dil-e-barbaad ab hum se gila be-sud hai hum to kahte the mohabbat ka maal achchha nahin hans raha hun is liye apne dil-e-barbaad par ek mohsin ki inayat par malal achchha nahin dur dur un se rahe hum khud ghurur-e-ishq mein kaun ab un se kahe ja kar ki haal achchha nahin dil ki khatir hi kiya tha tark-e-ulfat ka khayal dil hi ab kahta hai mujh se ye khayal achchha nahin abr bhi meri tarah rota hi rahta hai mudam us ke bhi talea mein shayad koi sal achchha nahin hai talab tujh ko to phir husn-e-talab se kaam le lab pe aa jae agar harf-e-sawal achchha nahin kya kahun 'sahir' ki ab kaisa zamana aa gaya dushmani kya dosti ka bhi maal achchha nahin