bani thi dil pe kuchh aisi ki iztirab na tha ghashi ko aap ne samjha tha khwab khwab na tha ye husn-e-zan hai ki 'bekhud' kabhi kharab na tha kasar thi itni ki aaluda-e-sharab na tha hamari aankh se tum dekhte to khul jata ki aaine mein bhi is shakl ka jawab na tha hazaron is dil-e-be-arzu ne dhae sitam bhale ko aur mere sath kuchh azab na tha mujhe ye rashk ki dushman ka zikr kyun aae unhen ye naz meri baat ka jawab na tha ye but samajhte the 'bekhud' ko bar-e-khatir kyun kisi ke dil mein to wo khanuman-kharab na tha